International Scholarship Programs closing in August: Rhodes Scholarship-University of Oxford(August 28th). International scholarship programs accepting applications (2025-26): CHEVENING SCHOLARSHIP for Master’s and Fellowship (UK); FULBRIGHT SCHOLAR PROGRAM-2025; SCOTLAND PAKISTAN SCHOLARSHIPS FOR YOUNG WOMEN AND GIRLS 2024-Undergraduate and Master’s (September 30th) For details please see our scholarship section.

Bake Sale Se
Stationeristic
Tak Ka Safar

Careera is an online platform that serves as a marketplace connecting job seekers and employers.

Bushra Hadi, aik resilient entrepreneur aur woh chehra jo The Stationeristic ke peeche hai. Industrial psychology mein master degree ke sath, usne istiqamat, resilience aur mukamal imaan ke sath apne khowaboon ko haqeeqat mein badal diya.

Apne masters programme ke douran, Bushra 15 larkiyon ke is group ka hissa thi jisay aik project diya gaya tha jis mein marketing aur selling shamil thi. Unhon ne  Fraffles – the Waffle House (Live Cooking) bake sale karne ka faisla kya. Tajaweez ka musevida tayyar karne aur budget tarteeb dainay se le kar marketing ki hikmat e amli tayyar karne tak, unhon ne is project par bahut mehnat ki. Karachi university mein ijazat haasil karna me mushkil paish aayi, lekin woh apne imaan par yaqeen rakhtay hue sabit qadam rahay.

Event ke din, Bushra aur us ki team bawarchi, cashier, electrician aur chowkidar sab khud thi. Unki anthak mehnat rang layi aur is tajarbay ne Bushra ko teamwork ki qader sikhahi aur unthak mehnat ke baad kamyabi ka meetha phal diya.

Agarchay wo ye kaam jari rakhna chahti thein, lekin zindagi ke kuch or hi plans thay. Bushra ne corporate duniya mein qadam rakha. Uski internship aik golden period tha jisme bohat ziyada seekhnay aur taraqqi ke mawaqe miley. Is ke baad Bushra ne pehlay chaar mah ke liye aik aur company mein shamoliat ikhtiyar ki aur phir software house join kar liya.

Taqreeban teen salon mein, woh aik Marketing Officer (urf cold caller) se Marketing Head ke uhde tak pohanch gayi. Yeh safar khushi, ansoo, challenges aur kamyabion se bhara tha. Woh aaj bhi apne wahan ke sathiyon, boss aur na qabil faramosh lamhaat ko yaad karti hai.

Bushra ko corporate duniya ke typical challenges face karne parte the. Aik aurat ke tor par, woh aksar apni salahiyaton ke baray mein shukook ka saamna karti thein. Larki hai, bta dein hum kar lein ge jaisay tabsaray iski akaasi karte hain. Waqt guzarne ke sath, jaise usne apni qabliyat ka muzahira kiya, yeh challenges kam hotay gaye. Woh aksar apne mard sathiyon mein akeli aurat hoti thi.

Software house mein apni muddat mulazmat ke baad, Bushra ne do aur companiyon mein job ki, or wahan bhi wo one man army thi. Marketing jaise wasee shobe mein akele sab kuch sambhalna thaka dainay wala tha. In tajarbaat ne Bushra ke apna kuch shuru karne ke khawab ko mazeed ujagar kiya. Usay ye realisation mili ke agar woh kisi aur ke liye akele sab kuch sambhal sakti hai to apne liye bhi kar sakti hai. Aur yehi soch is ka muharrak ban gayi.

Aik entrepreneur ban’nay ke liye pur azam, stationary se uski mohabbat ne aik khayal ko janam diya. Bushra ne naam socha, logo design kya, supplies akhatte kiye aur November 2023 tak Instagram par “The Stationeristic” ke naam se aik social media page bana liya aur apni products ke baray mein post karna shuru kar diya.

March 2024 mein, Bushra ko The Crafters Guild ki taraf se Lucky One Mall ke Chand Raat Bazaar mein teen din ke liye muft stall lagane ki offer hoi. 1st April se 9th April tak, usne apne walid ke sath subah 11 se 1 baje tak stall lagaye. Unka aksar saman sell out hojata tha aur har roz dobarah stock karne ki zaroorat hoti hai. Yeh mauqa Bushra ke liye aik bara kamyab aur hosla afza sabit hoa.

30 April ko, Bushra ne IBA Book Fair mein aik stall lagaya, jis par behtareen rad-e-amal mila. Iske baad se, online order aana shuru ho gaye hain. Iska 1st aur 2nd June ko Beach View par aik pop up set karne ka irada hai. Uski har choti kamyabi apne khwabon ki taraf aik barri chalang ki terhan mehsoos hoti hai.

Bushra ki family, khas tor par us ke waalid, uske is safar mein aik na qabil yaqeen support rahay hain. Bushra ne yeh seekha ke koi bhi khawab imaan, azm aur mehnat se bara nahi hota.

Bushra apne stationary ka karobar ko expand karne aur mumkina tor par mazeed shakhen bananay ka irada rakhti hai. Woh aik aisa brand banane ka khawab dekhati hai jo na sirf mayaari products faraham kere balkay doosron ko bhi un ke khowaboon ko poora karne ki targheeb aur taaqat faraham kere. Woh aik esi community banane ka plan rakhti hai jahan takhleeqi salahiyaton aur entrepreneur skills ko celebrate kiya jaye.

Bushra Hadi ka khawab se haqeeqat tak ka safar challengon se bhara tha lekin har qadam worth hai. Is ki kahani aik inspiration hai. Woh aik beginner, challenger, survivor, aur ab, aik entrepreneur in the making hai. Aur yeh tou sirf shuruwaat hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Key Points

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Nibh sed pulvinar proin gravida hendrerit lectus a. Ac felis donec et odio pellentesque diam.

Consectetur adipiscing elit duis tristique sollicitudin nibh sit. Netus et malesuada fames ac turpis egestas. Tortor pretium viverra suspendisse potenti nullam ac.

Related Posts