International Scholarship Programs closing in August: Rhodes Scholarship-University of Oxford(August 28th). International scholarship programs accepting applications (2025-26): CHEVENING SCHOLARSHIP for Master’s and Fellowship (UK); FULBRIGHT SCHOLAR PROGRAM-2025; SCOTLAND PAKISTAN SCHOLARSHIPS FOR YOUNG WOMEN AND GIRLS 2024-Undergraduate and Master’s (September 30th) For details please see our scholarship section.

Achi Sarmayakari aap kay mustaqbil ko aur behtar
bana sakti hai

Careera is an online platform that serves as a marketplace connecting job seekers and employers.

Woh kahawat hai na keh paisa aap ko khushiyan nahin khareed kay day sakta.
Agarchay yeh 100% durost baat hai, hum is baat ka inkaar nahin kar saktay keh
paisay aap ki zindagi aasan zaroor kar sakta hai. Zindigi ki bhag dor main
humara bunyadi maqsad zindagi ka miayar ko behtar banna hai. Aaj hum jo
paisay kamatay hain who waqt kay saath apni qadir kho deyta hai. Behtareen
tareeqah yeh hai kay hum apnay paisay ko aisi jagah lagain (sarmayakari) kah
humain mustaqbil main us say acha munafa millay.

Sarmayakari kiya hai?

Sarmayakari ek aisa asasa hai jisay amdani hasil hoti hai aur waqt kay saath
saath us ki qadr main izafa bhi hota hai. Agarchay Sarmayakari aur bachat kay
alfaz ek dosray ki jagah istimal hotay hain in doon main kafi farq hai. Bachat ek
maqsad ko pura karnay kay liyay paisay bacha kar rehnay ko kehtay hain balkay
sarmayakari kartay waqt aap apnay paisay ko kisi aisi cheez main lagatay hain
jo waqt kay saath apni qadr main barhay. Aksar, sarmayakari ki maqsad kay
liyay ki jati hai, jaisay kay bachon ki shadi, ghar banana ka irada, bachon ki
taleem ya aur kuch.

Pakistan main dunya kay muqabil, bachat ka tanasub sab say kaam hai.
Pakistan, dunya main sab say kam majmu-e-bachat ki sharah say dochar hai.
2019 tak, Pakistanio nay GDP ka sirf 12.3% bachaya. Is kay muqablay main
South-East Asia aur dunya ko ausat biltarteeb 24.69% or 27.97% hai. Is ki bohat
si wajuhaat hain.

  1. Sab say pehlay, ausat mahana amdani ka 90% hissa roz marrah
    kay akhrajat main chala jata hai. Ghar main aksar ek kamanay wala hota hai. Ek andazay kay mutabiq ek Pakistani gharanay main aksar 7-8 afraad hotay hain.
  2. Logon ko mahfooz aur bharosay mand sarmayakari ki jaankari nahin hoti. Who askar jalli schemes main apna paisay laga kar gawanh daytay hain.
  3. Logon ko sahi aur achi sarmaykari kay baray mian ilm nahin hota.

Sab say aasan tariqah yeh hai kay aap kisi bank kay saving account main apna paisay waqf kar lain. Saving account ek muddad kay baad, aap ko ek mehfooz aur maqsoos amdani day ga. Is kay elawah aap sarmayakari kay liyay mandarja zail tariqon say apni malli halaat behtar kar saktay hain.

– Jaidaad yah zameen khareed kar
– Haqumati/Government bonds
– Stock market
– Mutual funds
– Gold/Silver
– Medical Insurance
– Life Assurance policy
– Education policy/

Ek aasan aur achi zindigi kay liyay zaroori hai kay hum apnay kal kay baray
main aaj sochain takah hum sahi waqt par sahi faisallay kar sakain jo hamaray aur hamaray ghar walon ki zindagi khush gawar bana sakay.

#mainhoonaagah #pakistaniwomen #investments #savingaccounts #insurance #stockmarket #mutualfunds #bonds #progressivepakistan

Key Points

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Nibh sed pulvinar proin gravida hendrerit lectus a. Ac felis donec et odio pellentesque diam.

Consectetur adipiscing elit duis tristique sollicitudin nibh sit. Netus et malesuada fames ac turpis egestas. Tortor pretium viverra suspendisse potenti nullam ac.

Related Posts