Pakistan mein, bachpan ki shadi ab bhi aik bara masla hai, khaas tor par pasmandah aur dehi ilaqon mein jahan yeh aik darina rivaaj jari hai jo larkiyon ki 18 saal ki umar se pehlay shadi karne ki ijazat deta hai. Pakistan mein 2020 mein bachon ki shadi ke 119 dastavezi waqiat me hairan kun tor pe 95% khawateen shamil thein. Aik aisay mulk mein jahan kamzor zaabtay, siyasi iraday ki kami aur ilm ki kami ne is nuqsaan da amal ko jari rehne diya hai, yeh pareshan kun tor pe taraqqi mudakhlat aur islahat ki fori zaroorat ko ujagar karti hai.
Kam umri ki shadi na sirf nichale tabqay balkay mutwast tabqay mein bhi aik rujhan ban chuki hai. Kayi baar hamaray media ke zara e ablagh ki taraf ne maslay ko ujagar kya hai. Haal hi mein 2023 mein aik drama serial “Mayi ri” ARY Digital pe nashar kya gaya tha jo bachpan ki shadi par mabni tha. Is me kam umar dulha aur dulhan ko paish Aane wale masail, pechidgion, mushkilat aur jad-o-jehad ki numaya akkaasi ki.
Pakistan Mein Bachon ki Shadi ki Wajohaat
Mulk ki mojooda qanoon saazi ki kotahiyan aur Pakistan ke siyasat daano ka sakht qawaneen ko manzoor karne ke liye tayyar na hona is mulk mein kam umri ki shadiyon ka bunyadi sabab hain. Muqami bradriyon mein bachpan ki shadi ke manfi nataij aur asrat ke shaoor ki shadeed kami hai. Jab qabaili aur jagheer darana samaji nizam, intehai gurbat, na khuwandagi aur mazhabi aqaed shaamil hotay hain, to masla mazeed kharab ho jata hai. Pareshan kun baat yeh hai ke jabri tabdeeli e mazhab aur bachon ki shadian baaz auqaat ba yak waqt hoti hain, jis se bachay ko jinsi ziadti ka nishana banaya jata hai aur un se un ke ibtidayi saal chean liye jatay hain. Is amal ke nateejay mein bachay ki jismani or nafsiati sehat ko bohat nuksan pohanchata hai, jo un ki zehni, zaati aur samaji tor par bhi nashonuma mein rukawat banta hai.
Mazeed ye ke kam umri ki shadion se aksar larkiyon mein zarkhaizi (fertility) ki sharah ziyada hoti hai, jis se ziyada abadi aur hamal se mutaliq sehat ke masail ka khatrah barh jata hai. Is ke nateejay mein, Pakistan mein zichgi aur bachon ki amwaat ki pehlay se ziada khatarnaak sharah mein izafah hota hai.
Bakhabar Razamandi (consent) Ka Masla
Bakhabar razamandi ka fuqdaan bachpan ki shadi ka ek aham masla hai. Razamandi har gehray talluq mein kaleedi ansar hai. Kisi bachay ki razamandi ko kaisay bakhabar samjha ja sakta hai, ye bahar haal, kam umri ki shadi ke muamlay mein qabil behas hai. Ziyada tar nojawan is khayal ko nahi samajh sakte ke shadi me aap qanooni tor par paband hojate hain. Is barein mein ese sochen ke kis terhan na baligh ko gari chalanay, vote dainay ya shanakhti card haasil karne ki ijazat nahi hai.
Pakistan Mein Qanooni Framework
Child marriage Restraint act 1929, ne asal mein shadi ki kam az kam umar 14 saal muqarrar ki thi. Lekin 1961 mein Muslim family laws ordinance ke zariye usay barha kar 16 saal kar diya gaya tha. Ye Pakistan ke qanooni nizam ki bunyaad ke tor par kaam karta hai jo bachon ki shadi par pabandi lagata hai. Yeh qanoon sazi me imtiaz hai, jo larkiyon ke liye shadi ki umar 16 aur larkoon ke liye 18 saal muqarrar karti hai.
Pakistan mein, kam umri ki shadi ko rokna aik sobai tashweesh mein tabdeel ho gaya hai. Sindh woh wahid soobah hai jahan 18 saal ki umar se pehlay shadi par pabandi hai.
Pakistan paidaar taraqqi ke ahdaaf ke liye purazm hai, jiske mutabiq Pakistan 2030 tak 18 saal se kam umar ki shadion ko ghair qanooni qarar dainay walay qawaneen manzoor karey ga or isko khatam karega. Pakistan Mein larke or larkiyon ki shadi ki qanooni umar me farq par aqwam e muttahida ki committee bara e huqooq e atfal ne tashweesh ka izhar kia or mashwara diya hai ke Pakistan dono sinf ke liye shadi ki qanooni umar kam az kam 18 saal karey.
Pakistan mein kam umri ki shadi aik nehat uljha hoa masla hai jo fori tawajah ka muntazir hai. Is nuqsande amal se nimatnay ke liye mulk ko qanooni islahat, aagahi muhim aur taleem ke frogh ko tarjeeh deni chahiye. Khandano ko gurbat se niklny ka mutabadil rasta dena chahiye. Saahil jaisi NGOs aur bain al aqwami idaray kam umri ki shadi ke muzir asrat ke baarey me mein agahi ped karne aur qanooni islahat ki waqalat karne mein aham kirdar ada karte hain. Woh Pakistan ko kam umri ki shadi ke khatme ke – apne wadey mein agay barhne me madad de satke hain.
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Nibh sed pulvinar proin gravida hendrerit lectus a. Ac felis donec et odio pellentesque diam.
Consectetur adipiscing elit duis tristique sollicitudin nibh sit. Netus et malesuada fames ac turpis egestas. Tortor pretium viverra suspendisse potenti nullam ac.
Powered by Linkstar.