International Scholarship Programs closing in August: Rhodes Scholarship-University of Oxford(August 28th). International scholarship programs accepting applications (2025-26): CHEVENING SCHOLARSHIP for Master’s and Fellowship (UK); FULBRIGHT SCHOLAR PROGRAM-2025; SCOTLAND PAKISTAN SCHOLARSHIPS FOR YOUNG WOMEN AND GIRLS 2024-Undergraduate and Master’s (September 30th) For details please see our scholarship section.

NADRA Documents
And Their In Need
In Your Life

Careera is an online platform that serves as a marketplace connecting job seekers and employers.

NADRA Ke Dastawizaat Aur Un Ki Aap Ki Zindagi Mein Zaroorat!

Pakistan mein, NADRA (National Data Base and Registration Authority) mukhtalif maqasid ke liye zaroori kayi ahem dastawizaat jari karta hai. Un dastawizaat mein birth certificate, Bi form, Shanakhti card (CNIC), nikkah ki sanad (marriage certificate), aur wafat ya death certificate shaamil hain. Yeh dastawizaat shanakht, shehriat, khandani taluqaat, aur paidaiesh, shadi aur mout jaisay ahem waqeat ko saabit karne mein ahem kirdaar ada karti hain. Aayiyae in dastawez ki ahemiat or husool ke baray me jante hain:

Paidaiesh Certificate (Birth Certificate):

Paidaish ka certificate aik aham dastavez hai jo bachay ki paidaiesh ko record rakhti hai. Is mein bachay ka naam, tareekh, waqt aur jaye paidaiesh ke sath sath walidai /sarprston ke naam jaisi tafseelaat dark hoti hain.

Yeh bachay ke wujood ke baad sarkari record ke tor par kaam karta hai aur bachay ki shanakht qaim karta hai. Yeh dastaweez umar, shehriat aur waldiyat saabit karne ke liye ahem hai. Aksar school mein dakhlay, passport haasil karne aur deegar mukhtalif sarkari maqasid ke liye bhi darkaar hota hai. Mazeed ye ke zindagi bhar mukhtalif haqooq aur fawaid ka daawa karne ke liye paidaishi certificate zaroori hai.

Paidaiesh ka certificate haasil karne ke liye, bachay ki paidaiesh ke 30 din ke andar muqami union council ya nada ke daftar mein paidaiesh ka indraaj karna hota hai. Walidain zaroori dastawizaat faraham karte hain jaisay ke un ke CNICs, nikah nama (agar itlaq ho) aur hospital ka record waghera.

B Form:

Bi form, jisay child registration certificate (CRC) bhi kaha jata hai, 18 saal se kam umar bachon ke liye jari kya jata hai. Yeh national database mein bachay ke indraaj ka aik sarkari aitraaf hai. 18 saal se kam umar afraad ke liye shanakht aur shehriat ke saboot ke tor par kaam karta hai.

Yeh dastavez bachon ko school mein dakhil karne, nabalig ka passport hasil karne aur mukhtalif qanooni aur samaji haqooq tak un ki rasai ko yakeeni banata hai. Yeh malik ke andar bachon ke huqooq aur mafadat ke tahaffuz mein aham kirdar ada karta hai.

Walidain kisi bhi nadra registration center mein bi form ke liye apne shanakhti card, bachay ka pedaishi certificate aur tasveer samait matlooba form jama karwa kar bi form hasil kar sakte hain.

CNIC (Shanakhti Card):

Shanakhti card 18 saal ya is se ziyada umar ke Pakistani shehrion ke liye aik intehai zaroori dastavez hai. Yeh shanakht aur shehriat ke bunyadi saboot ke tor par kaam karta hai, jo afraadko mukhtalif qanooni, samaji aur iqtisadi sar garmion mein hissa lainay ki ijazat deta hai. Is mein zaati maloomat darj hoti hain jin mein naam, tareekh paidaiesh, walidain/shareek hayaat ka naam, pata, shanakhti number, tasweer aur angoothe ka nishan shaamil hain.

Pakistan mein har doosri sargarmi ke liye shanakhti card zaroori hai. Intikhabat mein vote dalna ho, bank account kholna ho, driving license ka husool ho, board ke dafatir se taleemi dastawizaat haasil karna hon, university mein dakhla lena ho, beron malik jana ho, passport aur visa ke liye darkhwast dena ho, ya lain dain karna hon. Yeh har shakhs ki shanakht qaim karne aur qaumi framework mein un ki shamoliat ko yakeeni banane mein bunyadi kirdar ada karta hai.

Shanakhti card hasil karne ke liye, pedaishi certificate, b form, walidain/shareek hayat ke CNIC samait dastawizaat ke sath nadra registration center jana hota hai. Wahan aapke biometric liye jate hain, tasweer khichti hai or zaati mallomat se form bhar ke aapke dastakht ke baad jama hojata hai. Aap apne khooni rishtedaar (waalid/maa/bhai/behan/beta/beti) ko sath le jayein tou unke biometric faraham kar ke b form attestation ki khuwari se bach sakte hain.

Sanad Nikkah (Marriage Certificate):

Shadi ka certificate aik sarkari dastavez hai jo 2 afraad ke shadi ko tehriri record me rakhta hai. Is ki bohat ziyada ahmiyat hai kyunkay yeh qanooni tor par 2 afraad ke darmiyan ittehaad ki toseeq karta hai. Yeh shadi ke sarkari saboot ke tor par kaam karta hai aur miyan biwi ke qanooni haqooq aur zimma darion ko qaim karta hai. Is mein mian biwi ke naam, tareekh, aur shadi ki jagah waghera jaisi tafseelaat shaamil hain. Yeh dastaweez mukhtalif qanooni aur intizami maqasid ke liye zaroori hai, bashmole wirasat ke haqooq ka daawa karna, sarkari dastavezaat par azdawaji hesiyat ko tabdeel karna, aur immigration ke liye shareek hayaat ke visa ke liye darkhwast dena. Yeh qanoon ke tehat shadi shuda joron ke haqooq aur mafadaat ke tahaffuz mein aik ahem kirdar ada karta hai.

Aap mian aur biwi ke shanakhti card ki copy, walidain, gawahoon, nikah khwan (molvi) aur nikah nama samait zaroori dastawizaat faraham karkay apni shadi muqami union council ya nadra office mein register karwa sakte hain.

Wafat Certificate (Death Certificate):

Wafat certificate aik aham dastavez hai jo kisi shakhs ki mout ki tasdeeq ke liye jari kya jata hai jo waqia ki sarkari tasdeeq aur dastavez faraham karta hai. Yeh aham maloomat par mushtamil hai jaisay mout ki wajah, tareekh, aur jagah. Wafat certificate warasat ka tasfia karne, bema ke fawaid ka dawa karne aur mutwafi ke bank accounts ko band karne ke liye zaroori hai. Yeh mutwafi fard ki jaedad se mutaliq umoor ke munazzam intizam mein bhi sahulat faraham karta hai aur qanooni taqazon ki tameel ko yakeeni banata hai.

Lawahiqeen ya qareebi rishtedar muqami union council ya nadra office mein mout ka indraaj kar ke aur matlooba dastavezaat faraham kar ke death certificate hasil kar sakte hain jin mein mutwafi, darkhaast dahinda, mutwafi ke walid Aur kisi bhi qareebi khooni rishtedar ka shanakhti card ki copy, hospital ka certificate aur qabristan ki parchi shamil hain.

NADRA ki taraf se jari kardah yeh dastawizaat Pakistani sheri ki zindagi ke mukhtalif pehluo, shanakht saabit karne se le kar qanooni mamlaat aur bain al aqwami safar tak sab ke liye zaroori hain. Mashray mein hamwar kaam karne ke liye tamam zaroori dastavezaat hasil karna aur inhen up to date rakhna zaroori hai.

Key Points

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Nibh sed pulvinar proin gravida hendrerit lectus a. Ac felis donec et odio pellentesque diam.

Consectetur adipiscing elit duis tristique sollicitudin nibh sit. Netus et malesuada fames ac turpis egestas. Tortor pretium viverra suspendisse potenti nullam ac.

Related Posts