Anemia ya iron ki kami Pakistani abadi mein aam hai aur kayi bimariyon ki aik ahem wajah hai.
Iron ki kami Pakistan mein sehat ka aik bara masla hai, jis se abadi ka aik bara hissa mutasir hota hai, khaas tor par khawateen aur bachay. Dar haqeeqat, Pakistan janoobi Asia ka dosra mulk hai jahan anemia say shikar logon ki taadat sab say ziada hai, yahan ki 53 feesad abadi is se mutasir hai. Bachay peda karne ki umar wali or hamila khawateen mein se, 43 feesad heran kun tor par khoon ki kami ka shikaar hain, jo is maslay ki shiddat ko numaya karti hai.
Khoon ki kami, jo aksar iron ki kami ki wajah se hoti hai, is waqt hoti hai jab jism mein khoon ke sehat mand red blood cells ki kami hoti hai jo tissues tak oxygen le jate hain. Nakaafi iron ke sath jism munasib hemoglobin peda nahi kar sakta, jo oxygen ki naqal o hamal ke liye bohat zaroori hai. Nateejay ke tor par, iron ki kami walay afraad ko thakawat, kamzori, jild ka peela parna, saans ki qillat aur deegar alamaat ka saamna karna par sakta hai.
Yeh kami khas tor par khawateen mein hamal ke douran aur bachay ki paidaiesh ke baad payi jati hai. Jin logon ne haal hi mein janam diya hai woh apne iron ke zakheeray ko barhane ke liye mukhtalif adwiyat ka istemal karte hain. No umar larkiyon ko mahwari ke douran khoon ki barhti hui zaroorat ki wajah se iron ki kami ka khatra hota hai.
Na sirf aurtein balke bachay bhi iron ki kami ka shikaar hotay hain, kyunkay yeh zaroori madniyaat un ke barhne aur nashonuma ke liye bohat zaroori hai. Nakaafi iron bachon ki jismani aur ilmi nashonuma mein takheer ka bais banti hai, jis se un ke liye apni poori salahiyat tak pahunchna mushkil ho jata hai. Bachpan mein iron ki kami sehat aur tandrusti par dairpa asrat maratab kar sakti hai.
Iron ki kami ko poora karne ke liye infiradi aur ijtimai koshisho ki zaroorat hai. Kuch ahem iqdamaat hain jo is maslay se nimatnay mein madad karte hain wo ye hain:
Iron ki kami ko jamey tareeqay se daur karkay, Pakistan apni abadi bilkhushoos khawateen aur bachon ki sehat aur behbood ko behtar bana sakta hai. Ghizai tabdeeli, izafi khoraak, taleem, aur sehat aama ke iqdamaat ke imtezaaj ke zariye, sehat ke is mushtarka maslay se nimatnay mein ahem paish raft ki ja sakti hai.
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Nibh sed pulvinar proin gravida hendrerit lectus a. Ac felis donec et odio pellentesque diam.
Consectetur adipiscing elit duis tristique sollicitudin nibh sit. Netus et malesuada fames ac turpis egestas. Tortor pretium viverra suspendisse potenti nullam ac.
Powered by Linkstar.