International Scholarship Programs closing in January: UPSALA UNIVERSITY (Sweden); UNIVERSITY OF SOUTHERN DENMARK (Denmark); UNIVERSIT OF OTTAWA for Msc and Phd (Canada); POLYTECHNIC UNIVERSITY OF MILAN International scholarship programs accepting applications (2025-26): ISLAMIC UNIVERSITY OF MADINAH (Saudi Arabia) FOR GOVERNMENT SPONSORED SCHOLARSHIPS KINDLY CHECK OUR SCHOLARSHIP SECTION FOR MORE DETAILS.

PCOS: Khawateen kay
Jismani aur Zehni Sehat
kay Masail or Hal!

Careera is an online platform that serves as a marketplace connecting job seekers and employers.

PCOS: Khawateen kay Jismani aur Zehni Sehat kay Masail or Hal!


Polycystic Ovarian Syndrome ya PCOS khawateen mein sab se ziyada paya jata hai. Yeh hamaray muashray mein raaij hai aur khawateen mein banjh pan ki sab se barri wajah hai. Pakistan mein banjh pan ki sharah 21.9 feesad hai aur is mein se 38.5 feesad me banjh pan ki wajah PCOS hai. Is ke ilawa, Pakistani khawateen mein PCOS ke kafi phelao ki ittilat hai. Aik survey ke mutabiq sirf 10% khawateen is bimari se waqif hain.

Badqismati se, Pakistani khawateen is baray mein shaz o nadir hi shaoor rakhti hain ke un ki mahwari mein mahino se takheer kyun hui hai. Agarchay khawateen ki toleedi taleem aik khamosh mamnooa hai, doosri taraf, tasawwur karen ke aap ki mahana cycle ke douran subah rozana shadeed bacha dani (uterus) ke dard ke sath hoti ho.

Polycystic Ovarian Syndrome (PCOS) khawateen ke toleedi hormones ka adam tawazun hai jis ke nateejay mein beza daani (ovaries) barh jati hain seyal se bhari theliyon (fluid filled sacs) se. Agarchay yeh theliyan bezarrar ho sakti hain, baaz suraton mein, beza daani anday ko chorney se qasir hoti hai jis ki wajah se mahvari ki naa-pukhta hoti hai jo ke beiz rezi (ovulation) ki adam mojoodgi hai.

PCOS ki Alamaat
PCOS ki shanakht ke liye sab se pehle alamaat ke zariye hoti hai. Sab se aam alamaat yeh hain:

  • Oligomenorrhea(Haiz ka be qaida bahao)
  • Hirsutism(Chehray aur jism par ghair mamooli balon ka nikalna)
  • Amenorrhea(Mahvari ki ghair mojoodgi)
  • Dysmenorrhea(Takleef de mahwari)
  • Cysticacne ki tashkeel
  • Wazanmein ghair mamooli izafah
  • Balonka girna
  • Hamalme takheer
  • Jismke mukhtalif hisson ke ird gird jald ke tag (jald ki patch ki terhan banna)
  • Jismke baaz hisson jaisay baghlin, chatiyon ke neechay, aur gardan ke pichlay hissay ka siyah hona.

PCOS ki wajohat kya hain?
PCOS ke baray mein kayi mukhtalif raye hain, taham, asal waja ka sahih muharrak na maloom hai. Ye chand awamil hain jo is bimari ke hone me kirdaar ada karte hain:

Genetics (jeneati): Baloghat tak pounchanay ke sath hi khawateen ke hormones ke reflex ke liye jeneati tabdeeliyan zimma daar hoti hain. Agarchay is ke agli nasal tak jane ka imkaan ziyada hota hai, taham, kuch khawateen apne jeneat ke bawajood PCOS ka shikar nahi hoti.

Beza Danyon ki kam darjay ki sozish: Tehqeeq sakhti se batati hai ke beza daani ke aster ke gird sozish polycystic beza daani ko androgen hormone peda karne ke liye mutharrak kar sakti hai. Androgen mardana hormones mein se aik hai jo hirsutism (jism aur chehre ke balon ki nashonuma) ke liye zimma daar hai. Is ka ikhraj balon ki nashonuma ko berhata hai aur khawateen mein dil aur pathon ki nalion ko bhi mutasir karta hai.

Insulin: Insulin aik hormone hai jo aap ke khoon mein Diabetes (ziabits/ sugar) ki satah ko control karta hai. Meetha khane aur zaroorat se ziyada junk food aap ke khoon mein insulin ki satah ko barhata hai. Zaroorat se ziyada insulin waqt ke sath sath androgen kharij karti hai jo hamwar beza daani ke amal mein rukawat banti hai.

Jismani werzish ki kami: Is daaway ki pusht panahi karne ke liye bohat kam scienci data mojood hai. Is ke bawajood, PCOS mein mubtala khawateen jismani mashqen shuru karne ke baad apni haalat mein behtari mehsoos karti hain.

PCOS ki paichidgiyan
PCOS khawateen ki jismani aur zehni sehat mein darj zail masail peda karta hai.
-Banjh pan
-Hamal me takheer, isqat hamal (miscarriage), ya bachay ki qabal az waqt paidaish
-Hamal aur diabetes ke douran high blood pressure
Metabolic syndrome – hormone ka ikhraj ki buland satah ke sath hormonal adam tawazun
-Type 2 ziabits (diabetes)
-Neend ki kami
-Zehni dabao
-Mood Swing
-Ghair mamooli ya bahut kam bacha daani se khoon ka bhao.

PCOS qabil ilaj marz hai. Aap ki bunyadi alamaat aur halaat par mabni ilaaj mojood hain. Jitna jaldi mualij se ruju karlein aap ka ilaaj itna hi behtar hoga. Ziyada tar ilaaj ke baad tarz zindagi mein kuch tabdeelian ki jati hain jaisay ke jismani werzish aur ghizai mansoobay or aap ki Alamaat ke mutabiq dawayen bhi tajweez ki jati hain.

PCOS aik mushkil jung hai, lekin usko chupane ki zaroorat nahi hai. Is me apne aap par sharminda hone ki koi baat nahi hai. Aur na hi aap ko is ke baray mein khamosh rehna chahiye, chahay usay mamnoo hi kiyn na samjha jaye. Sahih ilaj aur dekh bhaal se aap ki halat behtar ho sakti hai. Bohat se social platforms aur groups hain jin mein aap PCOS ke baray mein mazeed behtar maloomat ke husool ke liye shamil ho sakti hain.

Key Points

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Nibh sed pulvinar proin gravida hendrerit lectus a. Ac felis donec et odio pellentesque diam.

Consectetur adipiscing elit duis tristique sollicitudin nibh sit. Netus et malesuada fames ac turpis egestas. Tortor pretium viverra suspendisse potenti nullam ac.

Related Posts