International Scholarship Programs closing in January: UPSALA UNIVERSITY (Sweden); UNIVERSITY OF SOUTHERN DENMARK (Denmark); UNIVERSIT OF OTTAWA for Msc and Phd (Canada); POLYTECHNIC UNIVERSITY OF MILAN International scholarship programs accepting applications (2025-26): ISLAMIC UNIVERSITY OF MADINAH (Saudi Arabia) FOR GOVERNMENT SPONSORED SCHOLARSHIPS KINDLY CHECK OUR SCHOLARSHIP SECTION FOR MORE DETAILS.

Taleem Yafta Aurat -
Taraqi Yafta Mulk!

Careera is an online platform that serves as a marketplace connecting job seekers and employers.

Jab taleem-e-niswan ki baat ki jaye to Napoleon ka tarikhi jumla yaad aata hai & Tum mujhe achi (taleem yafta) maaein do mein tumhe muhazib aur taleem yafta qoum doonga. Ye jumla taleem-e-niswan ki ahmiyat ko bohat khoobsurti ke sath bayan karta hai. Taleem har insaan ki zindagi ka aik bunyadi haq hai aur mard aur aurat sab ki zindagi me aik jesa maqsad rakhti hai. Duniya ka har mazhab mard aur aurat dono ko ilm hasil karne ka dars deta hai. Lekin agar dekha jaye tou aaj bhi Pakistan samait dunia bhar me mardon ke muqable me ziada khawateen taleem hasil karne jese bunyadi haq se mehroom hain. Is International Education Day (Almi Youm e Taleem) par hum taleem-e-niswan ki ahmiyat aur uski zaroorat par roshni daaleinge. Taakey hamare mulk ki koi bhi maa, behan aur beti apne is bunayadi haq se mehroom na rahe.

Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah ne 25 March 1940 ko Islamia College ke khitab ke
doran kaha tha “Duniya me do taqatwar cheezein hain aik qalam, doosri talwar aur in dono se zyada taqatwar aurat hai. Aik aur khitab me taleem-e-niswan ki ahmiyat bayan karte hoye kaha & Aurat ke pas bari taqat hai wo bachon ko sahi raste par daal sakti hai. Is qeemti asase ko zaya nahi karna chahiye. Kiyn ke asae bare qeemti hoa karte hain aur duniya bhar ki qoumein apne asason ki qadar kiya karti hain.”

Pakistan me taleemi nizam ko bohat se masail ka samna hai. Inme aik bara aur aham masla larkiyon ki taleem hai jis ko fory tawaja dena aur hal karne ki zaroorat hai. Pakistan ki total population me sirf 59% log taleem yafta hain. Aur 59% parhe likhe Pakistaniyon me 71% mard aur sirf 47% aurtain hain. Bohat saalon se is farq ko kam karne ke liye koshishein ho rahi hain par natija iske bilkul baraks hai. Aur guzishta saalon me taleem e niswan ke frogh ki koshishon ki badolat khawateen talibaat ki tadaad me izafa hota dikhai diya hai. Pakistan me ziyada tar larkiyan primary ya matric tak hi taleem hasil karti hain. Phir unki shadi kardi jati hai. Jo larkiyan inter ya degree hasil karne me kamyab hojayein unme se beshtar aagey nokri nahi kartein. Ye hamara aik qoami almia hai jis ke liye poori qaum ko sath mil kar kharab hona chahiye.

Miyari taleem hasil karna har insaan ke liye zaroori hai. Maa ki goud insaan ki sab se pehli
dargah hoti hai. Jab aik maa taleem yafta hogi tou uski nasal Jo parwan charge gi wo bhi taleem yafta hogi. Na sirf ye balke is jadeed daur me aik taleem yafta larki apne ghar aur shohar ko financially support kar sakti hai. Larki ki taleem usey sahi ghalat ka shaoor deti hai jis ki badolat wo apne bunyadi haqooq ke liye khud awaz utha sakti hai. Larkiyon ke taleem yafta hone se Pakistan me ubharne wale mukhtalif masail jese ke child marriage, no family planning, auraton or nomolood ki sehat waghera ke baare me aagahi farahm ki jaa sakta hai. Nelson Mandela ne kaha tha “Taleem aik taqatwar hathiyar hai jis ki badolat koi bhi qaum duniya ko tabdeel kar sakti hai.” Tou bhala is hathiyar ke istemal ko sirf mardon ki zaat tak kese mehdood kiya jaa sakta hai? Taleem yafta khawateen mulki tarraqi me bhi eham kirdar ada karti hain. Mulk ki nisf abadi jo khawateen par mushtamil hai us ka ghair taleem yafta hona aik pasmanda mashrey ki akasi karta hai. Agar Pakistan me female literacy rate ko barhane par amal kiya jaye tou wo din dur nahi ke Pakistan bhi China aur America ki tarhan taraqi pazeer mulkon ki daur me shamil hojaye. Pakistan ko parhi likhi aur ba shaoor khawateen ki zaroorat hai jo is mulk ki behtari me apna kirdar ada karsakein.

Duniya me koi bhi mulk taraqi pazeer aur kamyab nahi ho sakta jab tak ke us mulk ki
khawateen taleem yafta na hon. Pakistan me amoman aik larkey ki taleem ko larki ki taleem par foqiat di jati hai. Halankey mulki tarraqi aur mashi istihkam ke liye dono ki taleem ki ahmiyat barabar hai.

Pakistan ke aaein ke mutabiq article 37 is baat ko highlight karta hai ke taleem hasil karna
Pakistan ki har khatoon sheri ka bunyadi haq hai. Lekin hamare mulk me bilkhosoos ghareeb tabqe aur dehi ilaqa jaat me khawateen ko is bunyadi haq se mehroom rakha jata hai. Agar primary education ke adad o shumar par aik nazar daalein tou sarkari aur niji schoolon me larkiyon ki tadaad ladko se kam hai. Sarkari schoolon me 43% larkiyan jabke niji schoolon me 45% larkiyan zeir e taleem hain.

Lekin agar hum higher education me university ki satah par nazar daalein tou mardon ke muqabil khawateen talba ki tadaad me khasa farq paya jata hai. Jis ki bina par humein corporate sector aur deegar job ke shobon me mardon ki kasrat nazar aati hai. Taleem kabhi zaya nahi hoti ye aapke, apki qaum aur mulk ki khidmat ke kaam aati hai. Jab hum haspatalon me apni biwi, bhen ya beti ke liye lady doctor ka mutaliba karte hain hain tou humein is baat ko bhi yaad rakhna chahiye. Agar us lady doctor ke ghar wale usko na parhate tou aaj aapko ilaj ke liye mushkil ka samna hota. Is badalti technology ke jadeed dour me jahan sahi ghalat ka faisla karna mushkil hai wahan taleem ki ahmiyat me dugna
izafa ho jata hai. Agar aik larki taleem aur shaoor rakhti hogi tabhi wo is jadeed technology
ka khud bhi sahi istemal kar sakegi aur apne ird gird ke logon ko bhi ghalat istemal aur burai me parne se bacha sakey gi. Ba shaoor aur taleem yafta aurtein behtreen muashra tashkeel deti hain. Humare idaron ko awami satah pe aur humare siasat daano ko sarkari satah par Pakistan me taleem e niswan ko frogh dene ke liye jido jehad karni chahiye.
Wo kehte hain na ke Jab parhega Pakistan tabhi tou agey barhe ga Pakistan!

#mainhoonaagah #pakistaniwomen #educationforall #girlseducation
#internationaleducationday #education #basichumanright #progressivepakistan

Key Points

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Nibh sed pulvinar proin gravida hendrerit lectus a. Ac felis donec et odio pellentesque diam.

Consectetur adipiscing elit duis tristique sollicitudin nibh sit. Netus et malesuada fames ac turpis egestas. Tortor pretium viverra suspendisse potenti nullam ac.

Related Posts